Sunday, October 4, 2015

Hum aur Humaari Shab

Roshni ne kahaa alvida toh andhere ne baahon mein le liya
Jalaakar shama ko kaise ho jaaye hum us andhere se juda
Jo tab hai humaare saath jab aur koi bhee nahin hai
Ek shab wo thi jismein hum mehfil ka hissa the
Ek shab ye hai jismein saath humaare hai sirf andhera
Pyaar humein us shab se bhi tha
Pyaar humein is shab se bhi hai...

kya dikhti hai us duniya se ye duniya?

Kya dikhti hai us duniya se meri roshni se mehroom hayat,
Kya ab bhi mere sone ke baad hee soti ho?
Baarish mein bheegna kya ab bhi achcha lagta hai,
Kya ab bhi sapne dekhti ho?
Kya khule baalon se ab bhi pyaar hai,
Kya ab bhi sirf mere hee liye dua karti ho?
Is duniye se toh humein nahin dikhti hai wo duniya,
kya us duniya se tumhe dikhti hai ye duniya?...